Nauushad Muntazir

Ghazal : Nigaah Thi Ya Sharaab Thi
Poet : #NauushadMuntazir
Reciter : #NauushadMuntazir

Nigah Thi Ya Sharaab Thi, Nazar Shab-e-Maahtab Thi;
Jo Pi Gaya Wo Fanaa Hua, Mehroom Ke Liye Azaab Thi.

Na Kasam Di Na Tera Naam Liya, Yaaro Ne Jaam Bus Pila Diya;
Bando Ne Kaha Kufr Hai, Rindo Ne Kaha Lajawaab Thi.

Maine Talash Ki Teri har Jagah, Jaha Khuda Na Mile;
Tu Hi Bata Meri Kya Khata, Meri Niyat Kaha Kharaab Thi.

Kisi Ko Gham Mila, Kuch Dil Jale, Kuch Dil Fareeb;
Sab Aa Mile Us Gaam Par Jaha Mayassar Hume Sharaab Thi.

Vaiz Ne Kaha Ise Chor De, Jannat Se Khud Ko Jod Le;
Tu Bhi Chakh Ek Ghoont Sharaab Ki Jo Mere Liye Sawaab Thi.

Gham-e-Shab Ne Mujhe Pila Diya, Ab Na Rahi Saher Ki Iltaja;
Us Haseen Gham Ko Dekh Tu, Gham-e-Zindagi Maahtaab Thi.



-नौशाद मुन्तज़िर/نوشاد منتظر ®
facebook/ NauushadMuntazir


This Youtube Video Link: https://youtu.be/TXWWex3Ba0I or just type #nauushadmuntazir

YT Channel Link: shorturl.at/cnqDV
facebook.com/nauushadmuntazir
instagram.com/nauushadmuntazir
vimeo.com/nauushadmuntazir

twitter.com/naushadmuntazir
mail: nauushadmuntazir@gmail.com

#nauushadmuntazir #shayariofnauushadmuntazir

NauushadMuntazir

View all posts

Add comment