Nauushad Muntazir
Nazm : Hum Chale Aasma Ke Samt
Poet : #NauushadMuntazir
Reciter : #NauushadMuntazir
Hum chale aasma ke samt magar sitaro aur hamare darmiyan jo faasla tha
Ye theek wahi tha, ye theek wahi tha jo hausle or khawab ke muqammal hone ke darmiyaa hota hai.
Raasta mushkil tha, safar musalsal tha, aakhir manzil ko chuna humme tha
Darr andhero se kab tha, sabse bada khauf khud ka khud se nikalna tha.
Dagar sahel hoti, gar manzil ne hume chuna hota, yaha humne manzil ko chuna tha;
Tha lazmi safar ka zaalim hona, hamara hosh faqta hona, aur thora naumeed hona.
To humne dubara safar ka agaaz kiya, diye se diya jalaya;
Umeed se umeed ko roshan kara aur raasto ko thora sahel kiya.
Sunte aaye the raasto ka manzil se zyda suhana hona, sitaro ki roshni ka andhero se kahi dilkash hona, behoshi ka mai se zyda hasi hona, unke jaane se unki aamad ka sukoon bhara hona.
To hum hosh ki ghode pe sawar hue aur waqt ke sailab ke bahav ke barkhilaaf chal diye;
Tufaan aate gaye, hum mei samate gaye, aur ek mod aaya jab hum khud ek hujoom the, hausla the, umeed the.
samt- in the direction of
musalsal- continuous
hosh-fakta- to lose consciousness
laazmi- compulsory
barkhilaaf- against
-नौशाद मुन्तज़िर/نوشاد منتظر ®
facebook/ NauushadMuntazir
This Youtube Video Link: https://youtu.be/pomuqUW9PMI or just type #nauushadmuntazir
YT Channel Link: shorturl.at/cnqDV
facebook.com/nauushadmuntazir
instagram.com/nauushadmuntazir
vimeo.com/nauushadmuntazir
twitter.com/naushadmuntazir
mail: nauushadmuntazir@gmail.com
Music Credit: https://www.youtube.com/watch?v=SvWfZGhjwGs&list=PL0Ay9Vu5u3PoxE8DTJJMgWly4awilYcN5&index=7&t=663s
#nauushadmuntazir #shayariofnauushadmuntazir
Add comment