Nauushad Muntazir

Ghazal : Baatein Rahi Gulaab Si
Poet : #NauushadMuntazir
Reciter : #NauushadMuntazir
Baatein rahi gulaab si hamara dil asmaan sa;
Wo marasim aisa ki jaise shajar ki sham sa.

Wo uski haqeqaton ki lehraati shayastagi;
Uske salaam itne ki mujhse koi kaam sa.

Jo main na mila, umeedzada ke dilo mei halchalein;
Jaise ho chuka hu unke armaano ka main gaam sa.

Tu roz a kuch baat kar, hu main meel ka patthar;
Ye berukhi kis kaam ki, imaan kyu beimaam sa.

Uski aarzuon mei arsh tha, mera wajood farsh tha;
Na-ummeedi ka sabab, main bikhra hua armaan sa.

Main uske garaz ki ek langrati adhuri lachaar aarzoo;
Kaam hote jo simat gaya, naam mera ilzaam sa.

Wo matalabo se labreez khuloos, wo mukhoton si hasi;
Ye zarurato ke mail hain, wo josh lagta hai thakaan sa.

Kaam apne banakar gaye, raha unka main “Muntazir”;
Jo roz mila karta tha, aaj chehra wahi anjaan sa.

marasim- relation
shajar- tree
shayastagi- courtesy
umeedzada- expectation of prosperity
arsh- sky
garaz- need, purpose
matalabon- selfishness

-नौशाद मुन्तज़िर/نوشاد منتظر ®
facebook/ NauushadMuntazir


This Youtube Video Link: https://youtu.be/AD8JuS6_7XI or just type #nauushadmuntazir

YT Channel Link: shorturl.at/cnqDV
facebook.com/nauushadmuntazir
instagram.com/nauushadmuntazir
vimeo.com/nauushadmuntazir

twitter.com/naushadmuntazir
mail: nauushadmuntazir@gmail.com

#nauushadmuntazir #shayariofnauushadmuntazir

NauushadMuntazir

View all posts

Add comment