Nauushad Muntazir
Shayari/ Ghazal : Aaj Eid Ka Din Hai Or Sitam
Poet : #NauushadMuntazir
Reciter : #NauushadMuntazir
Aaj Eid Ka Din Hai Aur Sitam Ye Ki Wo Gale Na Mile;
Aaiye Guftugu Ho Jaaye, Phir Chahe Dil, Dil Se Na Mile.
Faqat Ek Din Hum Unse Badha Lenge Duriyaan Aur Wo Humse;
Magar Humne Badha Li Nazdikiyaan Jaha Faasle Na Mile.
Hamari Nazrein Chaar Karne Ka Hunar Aur Unke Husn Ke Sadqe;
Ab Is Baat Ka Ilzaam Kis Par Dharein Agar Faisle Na Mile.
Ab Hum To Nazrein Bichakar Hi Mile Unse Jab Bhi Mile;
Ab Isme Hamari Kya Khata Kahiye Gar Wo Dil Se Na Mile.
Na Jaane Kya Khata Ki Humne Aur Kyu Bichad Gaye Wo Humse;
Are Ab Kya Sar Phood Lu Gar Daastan Mei Mugaalte Na Mile.
Wo Rind Kya Karenge Mohabbat Jo Apne Dil Na Thaam Sake;
Aji Ab Choriye Unki Baat Jinke Jigar Mei Hausle Na Mile.
Aankho Ke Raaste Dil Mei Utarna Tha Or Hum Zehan Mei Ulajh Gaye;
Unki Rehbari Kis Kaam Ki Agar Dasht-e-Dil Mei Raaste Na Mile.
Tum Bhi Shamil The “Muntazir” Vaiz Ki Badnaam Fehrist Mei;
Khoon Ke Aansu Ro Aaye Jo Unki Mehfil Mei Kehkahe Na Mile.
-नौशाद मुन्तज़िर/نوشاد منتظر ®
facebook/ NauushadMuntazir
This Youtube Video Link: https://youtu.be/BFAnmwkzP74 or just type #nauushadmuntazir
YT Channel Link: shorturl.at/cnqDV
facebook.com/nauushadmuntazir
instagram.com/nauushadmuntazir
vimeo.com/nauushadmuntazir
twitter.com/naushadmuntazir
mail: nauushadmuntazir@gmail.com
Add comment